Mobile Yaqinan Aaj Ke Zamane Ki Ek Aham Zarurat He. Lekin Uska Istemal Unhi Maqsado Ke Lie Karna Chahye Jinke Lie Ye Banaya Gaya He. Kisi Bhi Waqt Or Kisi Bhi Jagah Bat Karne Ki Sahulat Ke Sath Sath Usme SMS Ki Sahulat, Kam Kharch Me Pegam Pohnchane Ka Behtareen Zarya He ,
Aaj Kal Sms Ka Jo Istemal “ Please Foreword ” Ki Starting Ya Ending Se Ho Raha He Us Par Tawajjuh Dene Ki Sakht Zarurat He.
Mazhabi, Samaji, Siyasi, Akhbari, Or Since Topic Par Mukhtalif Sms Bager Kisi Tehqiq Ke Banaye Or Bheje Jate He. Or Bhejne Wala Logo Ko Lazim Karta He Ke Is Sms Ko Roko Nahi Aage Foreword Karo.
Me Khas Tor Par Un Mazhabi Sms Ka Zikr Karna Chahta Hu Jinme Mukhtalif Aayat, Ahadees Or Waqiat Bheje Jate He, Me Mazhabi Sms Ka Mukhalif Nahi Hu; Lekin Kehne Ka Maqsad Ye He Ke Ese Paigamat Ko Puri Tehqiq, Taqaddus Or Aadab Ko Malhuz Rakhkar Bhejna Chahye. Agar Koi Qurani Aayat Likhi Gai He To Uske Sahi Huroof Or Erab Ka Mukammal Lihaz Rakha Jana Chahye, Isi Tarah Ahadees Shareef Ke Taqddus Ko Bhi Malhuz Rakha Jaye. Or Roman Me Hargiz Na Likha Jaye; Qke Har Padhne Wala Apni Zehni Or Ilmi Qabiliyat Ke Mutabiq Hi Use Padhega, Jis Se Galatiyo Ka Ehtemal 100% He Or Gunah Ka Sabab He. Asal To Yahi He Ke Ese Sms Se Parhez Karna Hi Behtar He, Qke Quran Or Hadees Ko Padhne, Sunne Ke Bohot Makhsus Aadab He.
(آثار التنزيل:2/58-59)
Isi Tarah Galat Hadees Kahi Se Hath Lag Jaye To Use Share Na Kare, Wrna Jahannam Jana Hoga, Aap ﷺ Ne Faramaya Jo Shakhs Janbujkar Meri Taraf Se Galat Hadees Bayan Kare Use Chahye Ke Apna Thikana Jahannam Me Banale
من كذب علي متعمدا فليتبوأ مقعده من النار (مشكوة:كتاب العلم /32)
Kuch Sms Ese Bhi Hote He Jiske Akheer Me Ye Shart Hoti Ke 10 Logo Ko Bhejo To Khushkhabri Milegi Ya Agar Aage Nahi Bhejoge To Nuqsan Uthawonge. Ye Sab Boghas Or Jahalat Ki Bate He, Inka Islam Or Shariyat Mutahhara Se Door Ka Bhi Koi Talluq Nahi.
Siyasi, SAMAJI, AKHBARI OR DUSRE TOPIC PAR BHEJE JANE WALE PAIGAMAT ME BHI IS BAT KA KHAYAL RAKHNA ZARURI HE KE WO SACH HE KE NAHI, OR YE KE ESE SMS SE KISI KA DIL DUKH TO NAHI HORAHA HE, YA WO MUASHRE ME INTESHAR OR BIGAD KA SABAB TO NAHI BAN RAHA HE,
SOCHYE KAHI AAP BHI TO PLEASE FOREWORD KA HISSA NAHI BAN RAHE , SMS ZARUR KIJIYE; LEKIN AADAB OR AKHLAQ KO MADDE NAZAR RKHTE HUWE.
وقال أشهب سئل مالك هل يكتب المصحف على ما أحدثه الناس من الهجاء فقال لا إلا على الكتبة الأولى
رواه الداني في المقنع ثم قال ولا مخالف له من علماء الأمة
وقال في موضع آخر سئل مالك عن الحروف في القرآن الواو والألف أترى أن يغير من المصحف إذا وجد فيه كذلك قال لا
قال أبو عمرو يعني الواو والألف والمزيدتين في الرسم المعدومتين في اللفظ نحو الواو في أولوا
وقال الإمام أحمد يحرم مخالفة مصحف الإمام في واو أو ياء أو ألف أو غير ذلك۔ (الاتقان:2/172)
قلت ولايمكن رعاية ذلك في خط الهنود ولا في خط الانجليزى فغاية مايمكن فيهما ان يكتب الحروف المتلفظ بها فقط ولايمكن رعاية الزوائد اصلا و ايضا فبعض ما يتلفظ من الحروف فى العربى لاتوجد فى هذين اللسانين اصلا مثل الضاد والقاف و نحوهما فيعبر عنها بحروف مشترك بينها وبين غيرها ولايخفى ما فيه من لزوم التحريف فى القرآن۔ (الاتقان: 2/176 )
(آثار التنزيل:2/59)
NOTE: apne WHATSAPP par annida islamic msg hasil karne ke liye niche bataye gaye tariqe par ek sms kijiye :
AN-NIDA START
NAME:
CITY:
Post a Comment