Latest Update :

BAGER TOPI NAMAZ PADHNA



SUWAL: Kya Bager Topi Ke Namaz Padhana Jaiz He ?
Aaj Kal Saudi Arab Or Dusri Country Se Aane Wale Kuch Nojawan Isi Tarah Kuch Yaha Ke Log Bhi Inki Dekha Dekhi Or Fashion Ke Tor Par Bager Topi Ke Namaz Padhne Ka Mamul Rakhte He, Or Kehte He Ke Bukhari Sharif Ki Riwayat Me Ke Rasoolullah  Ne Khule Sar Namaz Padhi He?

JAWAB: Rasoolullah  Ka Aam Mamul Sar Dhank Kar Namaz Padhne Ka Tha (1), Isliye Topi Mojud Ho, Or Mahaz Susti Or Kahili Ki Wajah Se Bager Topi Ke Namaz Padhi Jaye To Esa Karna Makrooh He.(2) Qutube Rabbani Mahbube Subhani Abdul Qadir Jilani Rh. Farmate He Ke Logo Ke Darmiyan Sar Kholna Makrooh He. غنیۃ الطالبین:1/13- فتاوی رحیمیہ : 6/351
Ha Agar Topi Ki Talash Me Namaz Ki Jamat Ke Fot Hojane Ka Khatra Ho To Esi Surat Me Bager Topi Ke Bhi Namaz Ada Karlene Ki Gunjaish He, Rasulullah  Se Bhi Sirf Ek Kapde Me Namaz Padhna Sabit He (3); Lekin Zahir He Ke Ye Aap  Ka Ittefaqi (Kisi Ek Martaba Ka ) Amal Tha, Aap  Ka Hamesha Ka Amal Sar Dhank Kar Namaz Padhne Ka Tha, Isliye Khule Sar Namaz Padhne Ki Aadat Na Banali Jaye.
Ye Bat Sabit He Ke Rasoolullah  Ne Ek Bar Sirf Ek Chadar Me Namaz Ada Farmayi, Zahir He Ke Ye Chadar Batore Teband (Lunghi) Aap  Ne Istemal Farmayi Hogi, Lekin Esa Sirf Ek Waqiya Sabit He, Or Ek Sahabi Rd. Ke Daryaft (Puchhne) Karne Par Aap  Ne Ye Bat Bhi Irshad Farmayi Ke Kya Meri Ummat Me Sabhi Ko 2 Kapde Muyassar Hoge ?(4) Lihaza Aap  Ka Ye Amal Mahaz Is Bat Ko Batane Ke Liye Tha Ke Bager Topi Ke Bhi Namaz Ada Hojati He, Agar Kisi Ke Pas Sar Dhankne Ke Liye Koi Chiz Na Ho To Use Iski Wajah Se Namaz Nahi Chhodni Chaye, Na Ye Ke Khule Sar Namaz Padhna Behatar He, Huzur  Ka Aam Mamul Imama Ya Topi Pehankar Namaz Padhne Ka Tha, Agar Koi Shakhs Bukhari Ki Mazkura Riwayat Par Amal Karna Chata Ho To Fir To Kurta Or Banyan Pehanne Ki Bhi Zarurat Nahi, Sirf Paejama Ya Lunghi Par Hi Iktefa Karna Chahye.
Ye Mahaz Na Samji Or Nawaqifiyat Ki Bate He, Khud Gair Muqallid Ulama Bhi Is Se Mana Karte Rahe He,
“Fatawa Ulama-E-Ahle Hadees” Me Molana Gaznawi Ki Rai Is Tarah Likhi He:
Agar Nange Sar Namaz Fashion Ki Wajah Se He To Namaz Makrooh He, Agar Khushu Ke Liye He To Tashabbuh Binnasara (Nasara Se Mushabahat He), Islam Me Siwaye Ehram Ke Nange Sar Rehna Khushu Ke Liye Nahi He, Agar Susti Ki Wajah Se He To Munafiqeen Ki Aadat He, Garz Har Lihaz Se Na Pasandidah He “(5)
Or Mashhoor Aalim Molana Sanaullah Amrutsari Farmate He:
“ Sahi Masnoon Tariqa Namaz Ka Wahi He Jo Aap  Se Biddawam (Hamesha Se) Sabit He, Yani Badan Par Kapde Or Sar Dhaka Huwa Ho, Pagdi Se Ya Topi Se “(6)


(1) [Zadul Ma’ad:1/135-Fasl: Fi Malabisihi]
(2)وتكره الصلاة حاسرا رأسه إذا كان يجد العمامة وقد فعل ذلك تكاسلا أو تهاونا بالصلاة(الفتاوى الهنديه:1/106)
(في باب مكروهات الصلاة ) : (وصلاته حاسرا ) أي كاشفا ( رأسه للتكاسل )
و في الشامي: ( قوله للتكاسل ) أي لأجل الكسل ، بأن استثقل تغطيته ولم يرها أمرا مهما في الصلاة فتركها لذلك ،
(الدر المختار مع الشامي:1/641، مكروهات الصلاة،سعيد- وكذا في شرح منية المصلي:348 ،سهيل)
(3) صحیح بخاری، حدیث نمبر: 354 – باب الصلاۃ فی الثوب الواحد ملتحفا بہ۔
(4) عن ابي هريرة رضي الله عنه ان رجلا قال: يا رسول الله  يصلي الرجل في الثوب الواحد؟ فقال النبي  أو لكلكم ثوبان ؟
(كنز العمال، حديث نمبر:21709، كتاب الصلاة، باب ستر العورة ) ۔
(5) فتاوی علماء اہل حدیث:4/291

(6) فتاوی ثنائیہ :1/525



NOTE: apne WHATSAPP par annida islamic msg hasil karne ke liye niche bataye gaye tariqe par ek sms kijiye :

AN-NIDA START
NAME:
CITY:

CLICK HERE SAVE TO MOBILE AND SEND TO: +91-973-702-8129 



E-mail ke zarye annida msg hasil karne ke liye subscribe zarur kare



Share this article :

Post a Comment

 
Copyright © 2011. ANNIDA ISLAMIC - All Rights Reserved