Latest Update :

RAJAB KE KUNDO KI HAQIQAT OR STARTING




Part (1)
Hind O Pak Ke Sade Simple Awam Ki Deendari Ka Rukh Pehle Se Hi Sahi Taraf Na Tha, Jaha Name Ke Mullao Ne Apni Zati Garz Or Maqsad Ke Liye Deen E Islam Ko Be Dardi Se Istemal Kiya, Jiski Misal Rajab Ke Murawwajah Kunde Bhi He.
Is Rasm Ki Haqiqat Kya He? Or Uski Ibteda (Starting) Kab Or Kyu Hui ?
Ye Ek Tafseeli Topic He, Jiske Pichhe Muaawiyah Dushmani Ki Ek Zabardast History He, Usko Samajne Ke Liye Us History Ke Background Ko Samajna Zaruri He.
Malum Ho Ke Rasoolullah Ki Peshin Goi (Bhawishya Wani, Forecast) Ke Mutabiq Aap Ki Wafat Ke Kuchh Hi Dino Bad Fitno Ka Aagaz (Start) Hogaya Tha, Ek Taraf Nubuwwat Ke Dawedar Khade Hogaye, Dusri Taraf Zakat Ka Inkar Karne Walo Ka Fitna Samne Aaya, Tisree Taraf Munafiqeen Ne Apne Par Phelane Shuru Kar Diye, Or Chothi Taraf Yahood O Nasara Ne Apni Islami Dushmani Ki Karwai Tez Kardi. Garz Islam Charo Taraf Se Fitno Ke Ghere Me Aagaya, Or Dushmana E Islam Tarah Tarah Se Islam Ko Mitane Ke Darpe Hogaye.

Part (2)

Isi Darmiyan Shiaa Firqe Ne Janam Liya, Jiska Mujeed (Janam Denewala) Or Inventor Abdullah Bin Saba Yamani Tha, Jo Yahood Mazhab Mannewala Or Islam Ka Zabardast Dushman Tha Or Islam Ke Sipahi (Sahaba E Kiram Rd.) Se Sakht Dushmani Rakhta Tha, Usne Bohot Khatrnaka Tariqe Se Ali Ki Muhabbat Ke Parde Me Sahaba Ki Dushmani Ki Buniyad Rakhi Or Tarah Tarah Ke Propaganda Shuru Kiye.
Is Firqe Ke Zahir Hone Ki Khabar Rasoolullah   Pehle Hi De Chuke The Or Ummat Ko Mutanabbeh Or Alert Karte Huwe Farma Ya Tha:
سیاتی قومٌ لیسونہم ویستنقصونہم فلا تجلسوہم ولا تشاربوہم ولا تواکلوہم ولا تناکحوہم. (مظاہرحق شرح اُردو مشکوٰة المصابیح)
Tarjumah : Anqareeb Kuchh Log Peda Honge Jo Mere Sahaba Ko Bura Kahenge Or Unme Nuqs (Kami Kotahi) Nikalenge, Pas Tum Un Logo Ke Sath Mil Milap (Meeting) Rakhna Na Unke Sath Khana Pina, Na Unke Sath Shadi Biyah Karna. [Sharah Mishkat: 8/283]
Or Dare Qutni (Kitab) Me Khud Hazrat Ali Rd. Se Riwayat He Ke Huzur Aap Rd. Ko Mukhatab Karke Farmaya :
عن علي عن النبی صلی اللّٰہ علیہ وسلم قال سیاتی من بعدی قوم یقال لہم الرفضة فان ادرکتہم فاقتلہم فانہم مشرکون فقال قلت یا رسول اللّٰہ ما العلامة فیہم قال یفرطونک بما لیس فیک ویطعنونک علی السلف. (دارقطنی)
Tarjumah : Anqreeb Mere Bad Ek Giroh (Jamat, Group) Peda Hoga, Jisko Rafzi Kaha Jayega, Pas Agar Tum Unko Paawo To Unko Qatl Karna, Kyunke Wo Mushrik Hoge, Mene Arz Kiya Ya Rasoolallah Unki Pehchan Kya He ? Aap Ne Farmaya Wo Tumhe Un Chizo Ke Zarye Bohot Uncha Dikhayenge Jo Tum Me Nahi Hogi, Or Sahaba Par Laan Taan (Taana Tashnee) Karenge. [Mazahire Haqq]

(Part 3)

Farmane Nabawi Ke Mutabiq Ye Log Hazrat Usman Rd. Ki Khilafat Ke Zamane Me Zahir Huwe, Or  Propaganda Ki Managed Ke Sath Sath Secret Taraqqi Karte Rahe, Or Aahista Aahista Population Badhate Rahe, Yaha Tak Ke Bohot Jald Ek Tahreek (Movement) Ki Shakl Ikhtiyar Karke Millate Islamiyah Me Fut Parna Shuru Kar Diya. Waqt Ke Khalifa Ko Inke Kartoot Ki Khabar Hui To Unki Barabar Khabar Li Or Unke Leader Ibne Saba Ko Madinah Se Nikalwa Diya, Madinah Se Na-Ummeed Hokar Usne Kufa, Basra Or Misr (Egypt) Wagerah Ka Rukh Kiya, Or Darul Hukoomat (Capital) Se Door Jagah Pohanchkar Apni Sazishe Tez Ki Or Madinah Ki Sarkar Ke Khilaf Bagawat Or Dushmani Chalu Rakhi, Us Waqt Ke Khalifa Hazrat Usman Rd. Par Tarah Tarah Ke Ilzamat Lagaye, Unko معاذ اللہ (Allah Ki Panah) Chor Or Khiyanat Karnewala Batlaya, Or Unke Khilaf Bade Khatarnak Propaganda Karke Aapko Shadeed Kar Diya.
Hazrat Usman Rd. Ke Bad Khilafat Ka Taaj Hazrat Ali Rd. Ke Sar Par Rakha Gaya, Magar Unhi Sheeane Ali Kehlane Wale Jhoote Muhibbo Ne Jinhe Na Hazrat Ali Rd. Se Koi Muhabbat Thi, Or Na Hi Islam Se Koi Hamdardi, Balke Unka Maqsad Khilafate Islamiyah Ki Jad Katna Tha, Unho Ne Hazrat Ali Rd. Ki Mukhalafat Bhi Ba-Dastoor Chalu Rakhi, Or Shakle Badal Badal Kar Sazisho Ke Jaal Bichhate Rahe, Yaha Tak Ke Hazrat Ali Rd. Ke Ek Fesle Se Ikhtelaf Karke Unko Bhi Shaheed Kar Diya.

Part (4)

Phir 6 Mahine Tak Wo Hazrat Hasan Rd. Ke Dard E Sar Bane Rahe Or Unke Sath Bhi Yahi Na-Rawa Sulook Jari Rakha, Aap Rd. Ke Pehlu Me Khanjar Mara, Aap Ka Asbab Luta, Aap Ke Khaime Me Aag Lagai Or Aap Rd. Ke Qatl Tak Ki Ghinawni Koshish Ki, Jiski Shahadat Khud Shiya Kitabo Me Bhi Mojud He.
Ehtejaj Tabrisy Me Zaid Bin Wahab Johny Ki Riwayat He Ke Hazrat Hasan Rd. Ne Qasam Khakar Farmaya :
فقال اری واللّٰہ معاویة خیرلی من ہولاء یزعمون انہم لی شیعة ابتغوا قتلی وانتہبوا ثقلی واخذوا مالی واللّٰہ لان اخذ من معاویة عہدا احقن بہ دمی وآمن بہ فی اہلی خیر من ان یقتلونی . (احتجاج طبرسی مطبوعہ ایران ص 148)
Tarjuma: Khuda Ki Qasam Me Muawiyah Ko Apne Liye Un Logo Se Zyada Behtar Samajta Hu Jo Apne Ko Mera Shiya Kehte He, Unho Ne Mere Qatl Ka Irada Kiya, Mera Asbab Luta, Or Mera Maal Chheen Liya, Allah Ki Qasam Me Muawiyah Se Koi Muahadah Karlu, Jis Se Meri Jaan Or Mere Mutalliqeen Ki Hifazat Hojaye Ye Behtar He Is Se Ke Shiya Muje Qatl Karde.
Or Ek Shiya Riwayat Ke Alfaz He :
”واُورا مضطر کردند تا آنکہ بامعاویہ صلح کرد“
Tarjuma: Or Unko Yaha Tak Pareshan Or Majboor Kiya Ke Unho Ne Hazrat Muawiyah Se Sulah Karli.(Jila-Ul-Uyoon Allama Baqir Majlisi)
Garz Shiyo Ki Zyadtiyo Se Pareshan Hokar Aap Rd. Ka Dil Khilafat Se Uth Gaya, Or Khilafat Ki Lagam Hazrat Muawiyah Rd. Ke Supurd Kardi.

Part (5)

Hazrat Muawiyah Rd. Bohot Aqalmand, Hoshyar, Mamlat Ko Samajne Wale Leader, Or Insano Ko Pehchanne Wale Insane The, Or Nabwi Zamana Se Hi Apni Salahiyato Me Sab Se Mumtaz Insaan The, Unki Leader Wali Salahiyat Ko Dekhkar Hazrat Umar Rd. Ne Unhe Kisra-E-Arab Ka Laqab Diya Tha. Or Farooqi Zamane Se Hi Sham (Syria) Ke Governor The, Or 20 Sal Se Waha Kamiyab Leadership Karte Chale Aarahe The.
Hazrat Muawiyah Rd. Jis Waqt Seat Par Bethe Us Waqt Mulk Ke Siyasi (Political) Halat Bohot Kharab The, Tarah Tarah Ke Fitne Janam Le Rahe The, Fitna-E-Shiyyat Ki Jade Kafi Mazboot Hogai Thi, Or Wo Tareeqe Badal Badal Kar Islam Me Fut Dal Rahe The, Chahe Wo Khud Personal Me Bikhar Kar Kai Hisso Me Taqseem Ho Chuke The, Magar Sab Ki Nigah Ek Hi Taraf Thi, Or Islam Ke Khilaf Dushmani Me Ek Dusre Se Badh Chadh Rahe The. Ese Halat Me New Hukumat Ke Liye Zaruri Tha Ke Sab Se Pehle Bagawat Or Dhoke Ko Khatm Karne Ke Liye Ko Positive Or Thos Qadam Uthaye Or Fasadiyo Ki Jad Katne Me Koi Sakht Saza Ikhtiyar Kare.

Part (6)

Hazrat Muawiyah Rd. Jaise Hoshmand Insaan Se Kaise Mumkin Tha Ke Wo Is Hukoomat Ke Taqaze Ko Nazar Andaz Kar Dete Or Fitne Ki Jad Katne Me Gaflat Karte, Chunanche Hukoomat Ki Seat Par Aate Hi Unhone Fitna & Bagawat Ke Darwaze Ko Band Karna Zaruri Samja Or Fasadiyo Ke Dimag Ko Thik Kiya Or Bagiyo (Sheeyo) Ko Dhund Dhund Kar Qatl Karna Or Sazae Dena Shuru Kar Diya, Jis Se Bohot Shiya Qatl Hogaye Or Kuchh Logo Ne Saza Ke Khof Ya Mot Ke Dar Se Chhupna Pasand Kiya. Or Apna Mazhab Chhupa Kar Jaan Bachane Me Aafiyat Samji.
Ek Shiya Muarrikh (Historian) Us Waqt Ke Halat Bayan Karte Huwe Likhta He….
“ Shiyan-E-Ali Ke Mal O Saman Qabza Kar Liye Gaye, Wo Qatl Kiye Gaye Or Is Qadr Zulm Un Par Kiye Gay Eke Koi Apne Ko Shiya Na Keh Sakta Tha. “ [Tareekh-E-Islam: 1/33. By Zakir Hussain Jaafari Shiya]
Upar Bayan Hui Bato Se Maloom Huwa Ke Bohot Se Shiya Qatl Hokar Thikane Lag Gaye Or Jo Kuch Baki Rahe Wo Bhi Is Qadr Dar Or Ghabhra Gaye The Ke Khud Shiya Kehlwana Chhod Diya Tha, Or Apne Bure Anjam Ke Dar Se Ghar Me Beth Gaye.
Ye Log Zaahir Me Khamosh Hogaye, Magar Unke Dilo Me Muawiyah Rd. Ki Dushmani Ki Aag Barabar Bhadak Rahi Thi. Or Wo Unke Khilaf Sanp Ki Tarah Til Mila Rahe The Or Unki Hukoomat Se Chhutkara Or Aazadi Ke Bohot Intezar Me The.

Part (7)

Chunanche 20 Bohot Kamiyab Hukoomat Karne Ke Bad 22 Rajab/60 Hijri Ko Millate Islamiyah Ka Ye Azeem Mudabbir Dunya Se Rukhsat Hogaya . انا لله و انا اليه راجعون
Hazrat Muawiyah Rd. Ke Hasedeen Ke Liye Is Se Badhkar Khushi Ki Bat Or Kya Hosakti Thi Ke Unka Jaani Dushman Dunya Me Nahi Raha. Is Liye Unho Ne Muawiyah Rd. Ki Wafat Ki Khabar Sunkar Khoob Khushiya Manayi Or Khushi Ke Izhar Ke Tor Par Mithi Poori Banayi Or Ek Dusre Ko Khila Kar Apni Dushmani Ki Aag Ko Tahnda Kiya, Or Tamam Karwai Sunniyo Se Chhupakar Poshida Tariqe Par Anjam Di Gayi.
Suwal Ye Peda Hota He Ke Ye Karwai Chhupkar Kyu Rakhi Gayi Or Unhone Wafat E Muawiyah Par Apni Khushi Ka Izhar Khullam Khulla Kyu Nahi Kiya ?
Movlana Abdul Ali Sahib Farooqi Iski Wajah Likhte Ke……..
Kyunke Us Waqt Ahle Sunnat Wal Jamaat Ka Galba (Power) Tha Or Koi Sahabie Rasool Ki Toheen Or Unki Wafat Par Khushi Ke Izhar Ko Bardasht Nahi Kar Sakte The, Is Liye Rafziyo Ne Chhup Chhupakar Apne Apne Gharo Me Pooriya Banali, Or Unhe Aapas Me Taqseem Karke Chhupkar Khushi Ka Izhar Karke Dushmani E Ashab Ka Suboot Diya. Baad Me Jab Iska Charcha Shuru Huwa To Bohot Hi Chalaki Se Hazrat Imam Jaafar Sadiq Ki Taraf Mansoob Kardiya. [Taaroof-E-Mazhab E Shiya:158]
Yahi Wajah He Ke Is Rasm Me Aaj Tak Is Bat Ki Pabandi He Ke Kundo Ki Pooriya Kisi Chhupi Jagah Pakai Jati He. Phir Bade Ehtemam Se Unhe Dhak Kar Rakha Jata He, Or Fatiha Bhi Kisi Andheri Jagah Me Dilaye Jate He. Or Phir Parde Ke Sath Hi Unhe Khaya Khilaya Jata He.
Lekin Aage Chalkar Jab Is Sazish Ki Khabar Sunniyo Ko Hui Or Is Raz Se Parda Utha To Shiyo Ne Apna Jurm Chhupane Ke Liye Uska Rukh Imam Jaafar Sadiq Ki Fatiha Ki Taraf Kar Diya.
Ye He Is Rasm Ki Asal Or Haqeeqat. Jis Me Anjane Me Baaz Ahle Sunnat Bhi Shareek He. Or Is Rasm Ko Deen Ka Kam Or Sawab Ka Kam Samajkar Anjam Dete He. Or Ye Nahi Jante Ke Ye “ Hubbe Ali Ke Parde Me Bugze Muawiyah He” (Yani Ali Ki Muhabbat Ke Parde Me Muawiyah Ki Dushmani) He.

Allah Taala Tamam Musalmano Ki Is Manhoos Rasam Se Hifazat Farmaye.


NOTE: apne WHATSAPP par annida islamic msg hasil karne ke liye niche bataye gaye tariqe par ek sms kijiye :

AN-NIDA START
NAME:
CITY:

CLICK HERE SAVE TO MOBILE AND SEND TO: +91-973-702-8129 



E-mail ke zarye annida msg hasil karne ke liye subscribe zarur kare




Share this article :

Post a Comment

 
Copyright © 2011. ANNIDA ISLAMIC - All Rights Reserved