Latest Update :

Mahe rajab ki mangadhat (banavati) namaz




SUWAL: Assalamu Alaikum Mufti Sahib Kheryat Se Ho Ye Aajki (Jumerat) Namaj Ka Kya Masla He Jisme Koi Zikr Bohot Padhni Hota He Or Uska Sawab Bhi Bohot He Please Aapko Malum Ho To Bataye Or Uska Kya Tariqa He Zara Jaldi,

الجواب وبالله التوفيق
وعليكم السلام ورحمة الله وبركاته
Hawas Parast Ulama Ne Awam Ke Mazhabi Jazbat Ko Germakar Is Mahe Haram Me Kuch Bidaat Ko Rayij Kar Liya He, Awam Tak Kitab V Sunnat Ka Wazeh Paigam Pohnchane Ki Sakht Se Sakht Zarurat He, Take Bichare Awam Apne Imaan Ko Bidaat Ki Aamezish (Milavat) Se Mehfuz Rakh Sake. Mahe Rajab Ki Makhsoos Bidaat Me Se Ek Salat-Ur-Ragib He.
Mahe Rajab Me Makhsoos Dino Me Makhsoos Tariqe Se Kuchh Namaze Lazmi Tor Par Padhi Jati He, Jaise : Salat-Ur-Ragib , Mahe Rajab Ki Sab Se Zyadah Mashhoor Bidat Yahi Namaz He,
Is Namaz Me Makhsoos Zikre , Makhsoos Tadad Or Makhsoos Halaat Me Padhi Jate He.
Jiski Tafseel Is Tarah He…………
Ye Namaz Rajab Ki Pehli Jumerat Ko Magrib Or Isha Ke Darmiyan Padhi Jati He, Isme 12 Rakaate Hoti He, Har Rakat Me 1 Martaba Suratul Fatiha Or Suratul Qadr Or Suratul Ikhlas Tarteeb Ke Sath 3 Martaba Padhi Jati He. Yad Rahe ! Ke Ye 12 Rakaat 2-2 Rakat Karke Ada Ki Jati He, Namaz Se Farig Hokar 60 Martaba Ye Durood Shareef Padha Jata He اللهم صل على محمد النبي الامى وعلى آله وسلم تسليما Phir Sajde Ki Halat Me 60 Martaba سبوح قدوس رب الملائكة و الروح Padha Jata He, Sajde Ke Bad Ye Dua 60 Martaba Padhi Jati He: رب اغفرلي و ارحم و تجاوز عما تعلم ، انك انت العزيز الاعظم , Phir Dusre Sajde Me Bhi Isi Tarah Kiya Jata He,
FAZILAT : Jis Tarah Salat-Ur-Ragib Mushkeel Or Pechida Namaz He, Ese Hi Uske Mutalliq Sawab Or Jaza Or Uske Fazail Bhi Pechida Or Samaj Se Bahar He.
Example :
(1)    Is Namaz Ke Bad Insan Ke Tamam Gunah (Chahe Wo Samundar Ki Jhag Or Darakhto Ke Patto Jitne Ho) Muaf Hojate He.
(2)    Is Namaz Ko Ada Karnewala Qayamat Ke Din 70 Rishtedaro Ke Liye Shafaat Kar Sakega.
(3)    Sahibe Qabr (Marne Wala) Kahega , Tum Kon Ho ? Allah Ki Qasam Mene Tum Se Zyadah Haseen (Khubslurat), Khush Guftar (Achhchhi Bat Karnewala) Or Khushbudar Nahi Dekha He, To Ye Sawab Kahega Ke Me To Us Namaz Ka Sawab Hu Jo Tune Rajab Ki Fula Ki Rat Me Padhi Thi, Me Aaj Tera Haqq Lunga, Qabr Me Teri Tanhai Door Karunga, Tumhari Wehshat Ko Khatm Kardunga, Qayamat Ke Din Me Tumhare Sar Par Saya Ban Jaunga Or Tum Kabhi Bhi Khair Se Mehroom Nahi Honge.
(4)    Is Namaz Ka Sawab Khush Khabri Sunayega Ke Muje Padhnewale Tu Aaj Azab-E-Qabr Se Bach Gaya He.

HAQIQAT-E-HAL
Is Namaz Ke Bidat Or Manghadat Hone Me Koi Shak Nahi He, Is Namaz Ki Buniyad Hi Mowzu (Mangadhat) Hadees Par He, Jaisa Ke Is Hadees Ke Fovran Bad Imam Ibn Al-Jawzi Rh. Farmate He Ke Iski Sanad Ke Tamam Rawi (Hadees Bayan Karne Wale Log) Majhool (Jiski Koi Introduction Muhaddiseen Ke Pas Na Ho) He, Mene Ilm E Rijal Ki Tamam Kitabe (Hadees Bayan Karnewalo Ki Introduction Ki Kitabe) Talash Kar Dali; Lekin Mujhe Inke Bare Me Kuchh Maloom Nahi Hosaka. Imam Showkani Rh. Is Riwayat Ko Al-Fawaidul Majmuaa (Kitab Ka Name) Me Naqal Karne Ke Bad Likhte He, Ke Ye Mangadhat Riwayat He. Ehle Ilm Ne Is Riwayat Ke Mowzu (Mangadhat) Hone Par Ittefaq Kiya He. Imam Maqdisi Rh. Or Dusre Muhaddiseen Ne Bhi Is Riwayat Ko Batil Or Mangadhat Qarar Diya He.

(2)   Agar Is Namaz Ki Ehmiyat Itni Zyadah Thi To Phir Ashab-E-Rasool Ne Or Tabeen-E-Kiram Ne Iska Ehtemam Qyu Na Kiya ? Yaqeenan Wo Muqaddas Hastiya Khair Ke Kamo Me Ek Dusre Se Aage Badhne Wake The,
(3)   Namaz Me Itmenan Or Sukoon Bohot Zaruri He, Magar Salat-Ur-Ragib Me Ye Chize Mumkin Nahi He, Qyunke Namaz Padhnewala Zikro Ki Zyadati Ko Shumar Karte Waqt Bohot Zyada Harkat Ka Murtakib Hoga, Jo Ke Itmenan Ke Mukhalif He.
(5)   Namaz Me Khashiyat (Allah Taala Ka Khowf) Lazmi Chiz He, Magar Is Banavati Namaz Me Ye Chiz Mojud Nahi.
(6)    Is Namaz Me Har 2 Rakat Ke Bad Alag Se 2 Sajde Kiye Jate He, Shariyat-E-Islamiah Me Namaz Ke Alawa In Sajdo Ke Bare Me Koi Riwayat Nahi He.
(7)   Is Namaz Se Rasool Akram Ki Sahi Hadees Ki Mukhalafat Hoti He, Jis Me Aap Ne Jumaa Ki Rat Ko Khususi Qayam Karne Se Mana Kiya He (Muslim Shareef: Vol 2 / Page 801). Isi Liye To Imam Ibne Temiyah Rh. Ne Is Namaz Ko Bidat Qarar Dete Huwe Likha He: اما صلاة الرغائب فلا اصل لها ؛بل هي محدثة، فلا تستحب لا جماعة ولا فرادى ۔
Tarjuma : Is Namaz Ki Shariyat-E-Islamiah Me Koi Haqiqat Nahi, Balke Ye To Bidat He, Jisko Na To Jamat Ke Sath Ada Kiya Jaye Or Na Hi Akele. (Majmoo-Ul-Fatawa:23/134)
Imama Nawawi Rh. (Muslim Shareef Ke Shareh) Se Jab Salat-Ur-Ragaib Ke Bare Me Pucha Gaya, To Unhone Jawab Diya: Ye Namaz Na To Rasool-E-Akram Or Sahabae Kiram Rd. Or Na Hi Charo Imamo Me Se Kisi Ne Padhi He Or Na Hi Iski Fazeelat+Tariqah Ki Taraf Isharah Kiya He. Rasoolullah Sahi Sanad Ke Sath Iske Bare Me Kuch Sabit Nahi He, Balke Ye To Bad Ke Zamane Me Ijad Ki Gai He (Banayi Gai He).(Al-Badaul Hawliyah: 45-47) Isi Tarah Imam Ibne Qayyim Rh. Likhte He : وکذالک احادیث صلاۃ الرغائب لیلۃ اول جمعۃ من رجب کلہا کذب مختلق علی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم ۔ (المنار المنیف فی الصحیح والضعیف، ص:۹۵، حدیث:۱۶۷)
Tarjumah: Rajab Ke Pehle Jumaa Me Ada Ki Janewali Namaz (Yani Salat-Ur-Ragaib) Ke Bare Me Mazkoor Ahadees Rasoolullah  Par Bohtan He.

Allah Taala Hame Aap  Par Bohtan Lagane Wale Ghinawne Kam Se Bachaye _
       Aameen Ya Rabbal Aalameen.



new update email ke zarye hasil karne ke lie SUBSCRIBE zarur kare


Share this article :

Post a Comment

 
Copyright © 2011. ANNIDA ISLAMIC - All Rights Reserved