KAM SE KAM MAHAR :
Hanfiyahrh.
Ke Nazdeek Mahar Ki Kam
Se Kam Miqdar 10 Dirham He, Us Se Kam
Mahar Bandhna Motabar Nahi, Or Agar Kam Mutayyan Kar Liya Tab Bhi 10 Dirham Hi
Mahar Wajib Hogi. 10 Dirham Ka Wazan Aaj Ke Hisab Se Dhai Tola Chandi Yani 30 Gram, 618 Mili Gram He, (Itni Chandi Ya Uski Mojudah Qeemat Wajib Hogi Is Se Kam Mahar
Durust Nahi)
[Jadeed
Fiqhi Masail:1/196][Fatawa Mufti Mahmood:5/315][Fatawa Darul Uloom
Zakariya:3/624]
ZYADAH SE ZYADAH MAHAR :
Zyadah Mahar Ki
Koi Had Nahi,
Lekin Kam Mahar Hi Behtar He Jesa Ke Imam Ahmed, Or Tabrani Ne Hazrat Aaishard.
Se Naqal Kiya He Ke Zyadah Ba-Barkat Orat Wo He Jiska Mahar Kam Ho.
اخف النساء صداقا
اعظمهن بركا
(مجمع الزوائد: 4/516)
Hazrat Umarrd.
Ke Bare Me Marwi He Ke Aap ﷺ Ke Bare Me Marwi He Ke Aap ﷺ Ne Farmaya Ke Mahar Me Gulu (Had Se Zyada) Na Karo,
Ke Agar Mahar Ka Zyadah Rakhna Duniya Me Izzat Or Allah Ke Nazdeek Taqwe Ki Bat
Hoti To Huzur ﷺ Uske Zyadah Mustahiq The.
[Ibne Majah,Abu Dawud,Tirmizi]
Or Mashhoor Muhaddis Imam
Nawavi Rh. Farmate He : Mustahab He Ke
Mahar 500 Dirham Se Zyadah Na Ho Jo Azwaj Or
Sahab Zadiyo Ka Mahar Tha
المستحب ان لا يزيد على خمس مآة درهم
و هو صداق ازواج النبي و بناته
[Sharhe Muhazzab:16/328]
MAHRE FATIMI :
Hazrat Fatimahrd.
Ka Mahar 500/-
Dirham Tha, Jo Aaj Ke Wazan Ke Hisab Se 150 Tola Chandi He Ya 1750/- Gram Chandi He (1 Tola = 11 Gram, 664 Mili Gram)
[Fatawa
Rahimiyah:8/232] [Fatawa Mahmoodiyah:12/29]
كان
صداق بنات رسول اللهﷺ و نسائه خمس
مآة درهم اثنتى عشرة اوقية و نصفا
(طبقات ابن سعد :
8/22 )
NOTE: apne WHATSAPP par annida islamic msg hasil karne ke liye niche bataye gaye tariqe par ek sms kijiye :
AN-NIDA START
NAME:
CITY:
Post a Comment