عن علي بن أبي طالب قال : قال رسول الله صلى الله عليه و سلم إذا كانت ليلة النصف من شعبان فقوموا ليلها وصوموا نهارها . فإن الله ينزل فيها لغروب الشمس إلى سماء الدنيا . فيقول ألا من مستغفر لي فأغفر له ألا من مسترزق فأرزقه ألا مبتلى فأعافيه ألا كذا ألا كذا حتى يطلع الفجر
(سنن ابن ماجہ: رقم الحدیث 1388 ،شعب الایمان للبیہقی: ج3، ص378)
Hazrat Ali
Rd. Se Riwayat He, Farmate He :
Tarjumah:
Janabe Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya : Jab
Shaban Ki Pandarhwi Rat Aaye To Us Rat Qayam Karo Or Din Me Rozah Rakho, Qyuke
Allah Taala Suraj Guroob Hone Se Se ( Lekar Subah Sadiq Tak ) Aasmane Dunya Par
( Apni Shan Ke Mutabiq ) Nuzool Farmate He, Or Irshad Farmate He: “ He Koi
Bakhshish Talab Karne Wala ? To Me Usko Bakhsh Du ! He Koi Rizq Talab Karne
Wala ? Me Usko Rizq Du ! He Koi Musibat Zadah ? Me Usko Musibat Se Najat Du !
He Koi Esa ? He Koi Esa ? “ Allah Rabbul Izzat Ki Taraf Se Yah Elaan Subah
Sadiq Tak Hota Rehta He.
Is Hadees Shareef Me 15 Shaban Ke Rozeh Ka Tazkirah He Or
Ek Hadees Shareef Me Aap ﷺ Ka Is Mahine Me Zyadah Rozah Rakhna Aaya He, Isi
Tarah Ayyame Beez ( Har Mahine Me 13,14,15) Ke Rozeh Bhi Rakha Karte The, Or 15
Shaban Bhi Inhi Tarikho Me Se He, In Wajho Se Baz Ulama E Kiram Ne 15 Shaban Ka
Rozah Mustahb Qarar Diya He; Lekin Is Bat Ka Dhiyan Rakha Jaye Ke Is Rozah Ko
Sunnat Ya Zaruri Na Samja Jaye,
Fuqaha E Kiram Ne Likha He Ke Allah Taala Ko Pasandidah
Rozo Me 15 Shaban ( Shabe Baraat ) Ka Rozah Bhi He, Lihaza Is Qism Ka Rozah
Rakhna Ajr O Sawab Ka Sabab He. [1]
Sadar Mufti Darul Uloom Deoband Mufti Azizurrahman Rh.
Farmate He : Shaban Ki 15 Tareekh Ka Rozah Mustahab He, Agar Koi Rakhe To Sawab
He, Or Na Rakhe Koi Harj Nahi. [ Fatawa Darul Uloom Deoband: Part: 6 / Page :
309 ]
لما في الهندية : المرغوبات من الصيام انواع، اولها صوم المحرم ،
والثاني صوم رجب، والثالث صوم شعبان (الفتاوي الهندية ج1 ص 200 )
NOTE: apne WHATSAPP par annida islamic msg hasil karne ke liye niche bataye gaye tariqe par ek sms kijiye :
AN-NIDA START
NAME:
CITY:
Post a Comment