Rajab Me Roze Rakhne Se Mutalliq Alag Se
Koi Khas Fazeelat Manqool Nahi He, Hafiz Ibne Hajarrh. Ne Ek Kitab “
Tabyeenul Ajab Bima Warad Fi Fazlirrajab “ Likhi, Jisme Unhone Bohot Si Hadeeso
Ko Jama Karke Unki Bayan Karne Ki Hesiyat Ko Wazeh Kiya He Jo Rajab Ke Fazail
Se Mutalliq Bohot Kamzor Or Man Ghadat Thi, Aapne Farmaya Ke: Mahe Rajab Me
Khas Rajab Ki Wajah Se Kisi Roze Ki Makhsoos Fazilat Sahi Hadees Se Sabit Nahi
He. [Tabyeen-Ul-Ajab Bima Wurida Fi Fazli-R-Rajab_Muqaddamah, Page:11]
Aaj Kal Awam Me Ye Mashhoor He Ke 27th/Rajab Ko Rozah Ki Badi
Fazilat He, Yaha Tak Ke Is Bare Me Ye Mashhoor He Ke Ek Din Ke Roze Ka Sawab Ek
Hazar (1000) Roze Ke Sawab Ke Barabar He, Jiske Bina Par Use “Hazari Roza” Ke
Name Se Jana Jata He, Halanke Shariyat Me Is Roze Ki Mazkurah Fazilat Sahi
Riwayat Me Sabit Nahi He. Ye Baz Logo Ka Kam He Jo In Rozo Ko Sunnat Ka Rang
Chadhane Ke Liye Sakht Zaeef (Kamzor) Or Mozu (Man Ghadat) Riwayat Ka Sahara
Lete He, In Mowzu Or Man Ghadat Riwayat Ke Jawab Me Shaikhul Islam Ibne Temiyah
Rh. Likhte He :
“ Mahe Rajab Ke Rozo Ki Haqiqat Par Koi Sahi Hadees Nahi He, Or Na Hi
Sahabard. Or Salf-E-Saliheenrh. Me Se Kisi Ne Khususi Tor
Par In Rozo Ka Ehtemam Kiya. Balke Sayyidna Umarrd. Is Mahine Me
Roze Rakhne Walo Ko Sudharne Ke Liye Durre Marte The, Or Farmate The : Is (Mahe
Rajab) Ko Mahe Ramazan Ke Manind Na Banawo. [ارواء الغلیل : ۴/۱۱۳]
Ibne Qayyim Jowzirh. Farmate He :
ولا صام فی رجب قط (زاد المعاد فی ھدی خیر العباد ۲/۶۴)’’
Tarjuma : Rasool-E-Akram ﷺ Ne
Kabhi Bhi Rajab Me Roze Nahi Rakhe.
Allah Rabbul Izzat Mahaz Apne Fazl O Karam Se Sahi Nahaj Par Apne Ahkamat
Par Amal Karne Ki Or Unko Dusro Tak Pohnchane Ki Towfeeq Ata Farmaye. Aameen Ya
Rabbal Aalameen.
NOTE: apne WHATSAPP par annida islamic msg hasil karne ke liye niche bataye gaye tariqe par ek sms kijiye :
AN-NIDA START
NAME:
CITY:
Post a Comment