Latest Update :

UMRAH KA AASAN TARIQAH




UMRAH ME 4 KAM KARNE HOTE HE:

(1) meeqat se ehram bandhna.
(2) masjid-e-haram pohanch kar tawaf karna.
(3) safa & marwah ki saee karna.
(4) sar ke bal mundwana ya katwana.

{1} EHRAM :





meeqat par ya meeqat se pehle gusl ya wuzu karke ehram ke kapde pahenle ( yani ek sufed tehband / lunghi bandhle or ek sufed chadar odhle ) fir 2 rakat nafal namaz padhe, or umrah ki niyyat karke thodi baland aawaz se 3 martaba talbiyah padhe. talbiyah padhne ke sath hi aapka ehram shuru hogaya.

NOTE 1 : niyyat kehte he sirf dil me iradah karne ko.

NOTE 2 : orato ke ehram ke lie koi khas libas nahi, bas gusl                         wagerah karke jo kapde pehanti ho wahi pehne, or                       chehre se kapda hatale, fir niyyat karke aahista                           aawaz se talbiyah padhe.

MARD / ORAT EHRAM ME IN CHIZO SE BACHE : khushbu lagana, nakhun ya bal katna ya katwana, chehre ka dhankna, jima ya jima tak lejanewali chize jaise: bosa ( kis ) wagerah lena, janwar ka shikar karna, or esa juta ya chappal pehanna jis se paw ke darmiyan ki haddi chhup jaye.

MARD EHRAM ME IN CHIZO SE BACHE : 
sila huwa kapda pehanna, sar ko topi ya chadar wagerah se dhankna.

EHRAM ME MAKROOH CHEEZE (bachna chahye) : 
badan se mel door karna, sabun ka istemal, kanghi karna, ehram me peen ( j peen ) wagerah lagana ya ehram ko dhage se bandhna.

Masjid-e-haram pohanchne tak bar bar thodi aawaz ke sath talbiyah padhte rahe, qyuke ehram ki halat me talbiyah hi sab se behtar zikr he, makkah mukarrama pohanch kar saman wagerah apne room ( jaha qayam ka intezam kiya he waha ) par rakh kar wuzu ya gusl karke umrah karne ke lie masjid-e-haram ki taraf rawana hojaye.


{2} TAWAF : masjid me dakhil hone wali dua ke sath dahna ( sidha ) qadam aage badhaye or khoob itmenan or sukoon ke sath masjid-e-haram me dakhil ho. khana-e-ka'aba par pehli nigah padne par Allah ta'ala ki badai bayan karke koi bhi dua mange { dua zarur qubool hoti he, is lie ye dua mange ke allah muje mustajab-ud-dawaat banade ( mustajab-ud-dawaat us shakhs ko kehte jo jab bhi dua kare qubool hojae) }. uske bad mataf ( tawaf karne ki jagah ) me aajaye, 

or ka'aba shareef ke us kone ke samne khada hojae jisme hajar-e-aswad laga huwa he, or umrah ke tawaf ki niyyat karle, mard hazarat  izteba bhi karle ( yani ehram ki chadar ko dahne ( sidhe hath ) ki bagal ke niche se nikal kar baye ( ulte hath ) ke kandhe par dal de ) 

fir hajara-e-aswad ka bosa lekar ( agar sahulat ho ) warna uski taraf dono hatho se ishara kare or hath chumle, or { bismillahi allahu akbar } kahe or is tarah khada hojae ke ka'aba ki janib baya ( ulta ) hath ho, ab jis taraf muh he us taraf chalkar tawaf shuru karde. tawaf karte waqr nazar samne ho. ka'aba ki taraf sina ya pusht ( pith ) na kare. mard hazarat pehle 3 chakkar me ( agar sahulat ho ) ramal kare ( yani zara mundhe ( kandha ) hila kar or akad ke sath, chhote chhote qadam ke sath thoda jaldi jaldi chale ) 
jab ka'aba 3ra kona aajaye jise RUKN-E-YAMANI kehte he ( agar sahulat ho to ) dono hath ya sirf dahna ( sidha ) hath us par fere, warna uski taraf ishara kiye bager yunhi guzar jaye. RUKN-E-YAMANI or HAJAR-E-ASWAD ke darmiyan ye dua padhle 


fir HAJR-E-ASWAD ke samne pohanchkar uski taraf hatheliyo ka rukh kare or { BISMILLAHI ALLAHU AKBAR } kahe or hatheliyo ko bosa (chum le ) de,
AB aapka 1 chakkar hogaya. uske bad baki 6 chakkar bikul isi tarah kare.

NOTE : tawaf se farig hokar tawaf ki 2 rakat namaz maqam-e-ibrahim ke pichhe agar sahulat se jagah mil jaye warna masjid-e-haram me kisi bhi jagah padhle. or ZAMZAM ka pani piye. or fir ek bar HAJR-E-ASWAD ke samne aakar bosa de ( chume ) ya sirf door se dono hatho ka ishara kare or hath chum le or SAFA ki taraf chale jaye.

{3} SAE'E : safa pahad par pohanch kar behtar he ke zuban se ye kahe


fir apna rukh ( chehra ) ka'aba ki taraf karke allah ki hamd o sana bayan kare, durood shareef padhe, fir hath utha kar khoob dua kare. uske bad marwah ki taraf darmiyani ( jesa aam tor par chalte he ) chale. 


sabz sutoono ( green / lile rang ke khambhe ) ke darmiya ( bich me ) mard hazarat zara dod kar chale, MARWA par pohanch kar qible ki taraf hath utha kar dua mange.
ye sae'e ka ek fera ( chakkar ) ho gaya. isi tarah marwah se safa ki taraf chale. ye dusra chakkar hojaega. isi tarah 7 chakkar lagana he. satwa chakkar marwa par khatm hoga.

NOTE 1 : har martaba safa or marwa par pohanch kar dua karni chahye.

NOTE 2 : tawaf se farig hokar agar sae'e karne me der hojaye to koi haraj nahi. sae'e karte waqt is dua ko bhi padh le, agar yad ho to


{4} HALAQ / QASR : sae'e se farig hokar sar ke bal mundwale ya katwale, mardo ke lie mundwana afzal he; lekin orate choti ke aakhir me se ungli ke ek pore ke barabar bal khud kat le ya kisi mehram ( jiske sath shadi nahi ki jasakti jaise: walid,saga bhai wagerah ) se katwale.

NOTE : baz hazarat sar ke chand bal ek taraf se or chand bal dusri taraf se kat kar ehram khol dete he, YAD RAKHE ke esa karna jaiz nahi he. esi soorat me dam wajib hojaega, balke ya to sar ke bal pure mudwaye ya pure sar ke bal is tarah katwaye ke har bal kisi tarah ek sarkhe kat jaye.

IS TARAH AAP KA UMRAH MUKAMMAL HOGAYA. ab aap apne ehram ko khol de.

NOTE : jab tak makkah mukarrama me qayam rahe zyada se zyada nafli tawaf kare. umrah bhi kar sakte he, magar tawaf karna afzal or behtar he.

AHAM MASAIL :

(1) agar aap bager ehram ke meeqat se guzar gaye to aage jakar kisi bhi jagah ehram bandh le, lekin aap par ek dam lazim hoga.
(2) ehram ke upar chadar ya kambal dal kar or takye ka istemal karke sona jaiz he.
(3) ehram ki halat me ehram ko utar kar gusl bhi kar sakte he or ehram bhi badal sakte he.
(4) bager wuzu ke tawaf karna jaiz nahi, ha sae'e ke liye wuzu zaruri nahi.
(5) orate mahwari ki halat me tawaf nahi kar sakti.
(6) tawaf or sae'e karte huwe arabi me ya apni zuban me jo dua chahe mange, ya quran ki tilawat kare,
NOTE : har chakkar ki alag alag dua masnoon nahi he.
(7) namaz ki halat me bazuo ko dhankna zaruri he, izteba sirf tawaf ki halat me sunnat he.
(8) tawaf ya sae'e ke darmiyan jamat ki namaz shuru hone lage ya thak jaye to tawaf ya sae'e ko rok de, fir jaha se tawaf ya sae'e ko band kiya tha usi jagah se shuru karde.
(9) tawaf nafli ho ya farz, ka'aba ke 7 chakkar laga kar 2 rakat padhna na bhule.
(10) nafli tawaf ka subut he lekin nafli sae'e ka koi subut nahi.
(11) tawaf karte waqt zarurat ki bat chit karna durust he.
(12) tawaf me mardo ke liye ramal or izteba karna sunnat he


NOTE: apne WHATSAPP par annida islamic msg hasil karne ke liye niche bataye gaye tariqe par ek sms kijiye :

AN-NIDA START
NAME:
CITY:

CLICK HERE SAVE TO MOBILE AND SEND TO: +91-973-702-8129 



E-mail ke zarye annida msg hasil karne ke liye subscribe zarur kare



Share this article :

Post a Comment

 
Copyright © 2011. ANNIDA ISLAMIC - All Rights Reserved