Wajib : wo ahkam jinka subut farz ke muqable ek drja kam dalail se ho; lekin amal ke etebar se wajib or farz me zyada farq nahi, jis tarah farz par amal lazim he isi tarah wajib par bhi amal karna zaruri he.[1]
Namaz Me Total 14 Wajibat He……….
[1] Surah Fatiha Ka Farz Namaz Ki Pehli 2 Rakaato Or Baqi Tamam Namazo (Witr,Sunnat & Nafal) Ki Sab Rakaato Me Padhna.
[2] Farz Namaz Ki Pehli 2 Rakaato Or Baqi Tamam Namazo (Witr,Sunnat & Nafal) Ki Sab Rakaato Me Surah Fatiha Ke Sath Koi Surat Ya Badi Ek Aayat Ya Chhoti 3 Aayat Milana.
[3] Surah Fatiha Ko Surat Se Pehle Padhna.
[4] Tarteeb Se Karna ( Yani Har Farz Ko Uski Jagah Ada Karna, Jaise Pehle Qayam Fir Rukoo & Sajdah Wagerah )
[5] Qawma Karna (Yani Rukoo Se Uthkar Sidha Khada Hona)
[6] Jalsa Karna (Yani 2 Sajdo Ke Darmiyan Sidha Bethna)
[7] Taadile Arkan (Yani Har Chiz Ko Itmenan Se Ada Karna, Yani Qawma, Rukoo, Sajdah Or Jalsa Isi Tarah Namaz Me Jo Qiraat & Dua Padhi Jati He Unhe Imenan Se Padhna, Take Jaldi Jaldi Me Koi Chiz Chhut Na Jaye)
[8] Qaida-E-Aula Karna (Yani 3/4 Rakat Wali Namaz Me Dusri Rakat Par Itni Der Bethna Jitni Der Me Attahiyyat Padh Sake)
[9] Dono Qaido Me Tashahhud Padhna (Yani Dusri Or Aakhri Rakat Ke Qaide Me Attahiyyat Padhna)
[10] Jahri Namaz Me Imam Ka Baland Aawaz Se Or Sirri (Silent) Namaz Me Aahista Qiraat Karna.
[11] Witr Ki Tisri 3rd Rakat Me Qiraat Ke Bad Takbeer Kehna & Dua E Qunut Padhna.
[12] Namaz Me Esa Koi Kam Na Karna Jis Se Farz Ya Wajib Ki Adaigi Me Takheee (Der) Hojaye.
[13] Dono Eid Ki Namaz Me 6 Zaid Takbeerat Kehna Or Dusri Rakaat Me Raukoo Ki Takbeer Kehna.
[14] Namaz Ko Salam Se Khatm Karna.
Sajda-e-sahw : namaz me jo chize wajib he unme se koi ek ya zyada wajib bhul se chhut jaye to us waqt ek martaba sajda-e-sahw karna wajib he. Agar sajda-e-sahw karna bhul gaya to namaz firse padhna zaruri he warna sakht gunehgar hoga. Isi tarah agar koi wajib janbujhkar chhod diya to sakht gunehgar hoga or namaz dobarah padhna zaruri he sajda-e-sahw se kam nahi chalega.
Isliye namaz me jo chize wajib he unhe har namazi ko yad rakhna chahye, warna namaz kharab hogi. Or ye sab shaitan ka kam hota he ke bande ki namaz kharab kare, jaisa ke muslim shareef me riwayat he كانتا ترغيما للشيطان (مسلم)
(وغيره نور الايضاح)
[1]
والواجب ما ثبت بدليل فيه شبهة كصدقة الفطر والأضحية ، وحكمه اللزوم عملا كالفرض۔
رد المحتار:كتاب الاضحية 6/313-سعيد
NOTE: apne WHATSAPP par annida islamic msg hasil karne ke liye niche bataye gaye tariqe par ek sms kijiye :
AN-NIDA START
NAME:
CITY:
Post a Comment